Maine pichli post me aapko sitelinks ke baare me bahut kuch bataya tha.To aap pehle wo post padhle tab aapko ye post acche se samaj me aayega.What Is Google Sitelinks And How To Get It For Your Blog.
Google Custom Search Engine Apne Blog Me Kaise Lagaye
To ab agar aapke blog ke search result me bhi Sitelinks show karta to acchi baat hai lekin kabhi aisa bhi hota hai ki sitelink me koi aise page add hua hota hai jisse ham show nahi karana chahte hai.To agar aap usse remove karna chahte hai sitelinks se to aaj iss post me mai aapko issi ke baare me batane wala hu.
5 Effective Aur Proven Ways Alexa Rank Badane Ke Liye
Maine apne pichlis post me sitelinks ke fayde bhi bataye the to sitelinks ke to bahut fayde hai lekin bahut log apne sitelink me se koi page nikalna chahte hai.To mai aapko bata du ki google hame sitelink me se koi link block karne ka permission deta hai.Lekin google ne ye bhi kaha hai ki wo guarantee nahi dete hai ki aapka block kiya hua pages phir se sitelinks me nahi aayega lekin unhone ye bola hai ki page ko sitelinks me se block karne se jab bhi wo aapke website ke liye sitelinks generate karenge to wo aapka sitelink se block page ko dhyan me rakhke aapke sitelinks ke liye sitelink banayenge.
Blog Me Se Non-Removable Widget Kaise Remove Kare
To chaliye pehlle mai aapko bata du ki kaise aap apne sitelinks se koi link nikal sakte hai.
How To Remove/Block Unwanted Sitelink From Google Search
Step 1: Sabse pehle aap google search console ke dashboard me jaye.
Step 2: Ab search preference par click kare aur phir sitelink pe click kare.
Step 3: Ab waha pe ek box hoga usme uss page ka link dale jisse aap sitelinks se remove karna chahte hai.Aur phir Demote par click karde.
Sitelinks me se kisi page ko nikalna to aasan tha lekin sitelink se page jaldi nahi nikalta hai isme time lagta hai.Aur ye demoted page 3 months ke liye hi sitelinks se block hote hai uske baad aap phir se unhe kar sakte hai.Aap kam jada se jada 100 pages ko sitelinks se block kar sakte hai.
Agar aapko ye post accha laga to isse please share kare.
No comments:
Write comments