Aapne kabhi kisi website ke name ko search kiya to aapko uss website ke result ke niche aapko kuch important link dikhayi diye honge.To aaj mai aapko isi ke baare me batane wala hu aur aap iss kaise apne blog me laga sakte hai.
Sitelink Kya Hai ?
Sabse pehle aap iss screenshot ko dekhe.Aap is image me dekh sakte hai ki maine Howinhindi search kiya to result me sabse pehle main link jo ki homepage hai uska aaya phir uske niche About Us aur Privacy Policy ka page aaya.To ye About us aur Privacy Policy ke link ko hi Sitelinks kahte hai.
Sitelinks hame tabhi dikhate hai jab hame kisi site ko uske name se search kare jaise howinhindi.Agar aap howinhindi.com bhi search karenge to bhi aapko sitelinks dikhayega.Maximum 6 Sitelinks dikhata hai kisi bhi site ka.Pehle 12 Maximum tha ab isse kam karke 6 kar diya gaya hai.
Aapko ye pata to chal gaya ki Sitelinks kya hai chaliye ab mai aapko batata hu ki Sitelink ke Importance kya hai.
Importance Of Sitelinks ?
1) User ko navigate karne me madad karta hai.
2) Aapka CTR rate badane me madad karta hai.
3) Aapko SERP (Search Engine Result Page) pe jada jagah milti hai.
4) Aapke site ka Trust badane me mada karta hai.
Aapko pata chal gaya ki Sitelinks kya hai aur uske fayde kya hai.Google unn site pe Sitelinks show karta hai jinhe wo love aur trust karta hai to isse users bhi aapke site pe trust kar payenge to ye sabse bada fayda ho sakta hai.
Lekin agar aap chahte hai ki aapke site pe bhi Sitelink show ho to mai aapko bata du ki Sitelink show karane ke liye koi coding ya process nahi hai.Google ne kaha hai ki ye ek automated process hai.To iska matlab ye hai ki aap apne site me Sitelink koi coding karke ya bana nahi sakte.Iska koi process bhi nahi hai.
Jaise maine bataya ki Sitelink aap apne se koi Process ya Coding karke to nahi paa sakte hai lekin niche jo maine Tips bataya hai unko aap Follow karke apna Chances bada sakte hai Sitelinks paane ke liye.
1 ) Use Unique Website Name
Ye sabse important factor ban jata hai kyu ki agar aapke site ka name unique raha to aapko Google bahut jaldi pehchan legi.Agar aapko samjha nahi to chaliye mai aapko ek Example deke samjhata hu.Jaise Facebook ek bahut hi unique name hai to google janta hai ki jada queries me facebook likha hai to wo user facebook.com ke baare me search kar raha hai.Aur agar aapke site ka name hai "the hardware store" to aapko SERP me jagah hi nahi milegi.Ho sakta hai ki aapko first place pe jagah hu nahi milegi.Balki kisi aur site ka page dikhane lagega.
To apne site ka name Unique choose kijiye naki aisa choose kijiye jo ki Dusri site se mita julta ho.
2) Add Sitemap To Google Webmaster
Google Sitelink me wo hi pages show karta hai jo ki important hai.Sitemap aapke Site ke content ko index karne me hi nahi aapke site me konsa important page hai wo bhi batate hai.Google aapka Sitemap bhi use kar sakta hai aapka important pages janne me.
Sitemap Kya Hai Aur Apne Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye
Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare
Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare
3) Give Importace To Internal linking
Internal Linking ka matlab hai ki aap apne post apne site ke dusre post ka link add karte hai use hi Internal Linking kahte hai.To jiss post ko jada linking milegi to google usse jada Important samjhega.
To iss aap Google ko bata sakte hai ki aapke site me konsi page jada important hai.
Google ne khud ye bataya hai ki Jaldi Sitelinks paane ke liye aap apne Internal link me Anchor text aur Alt Text ka istaml kare.
Google Analytics Me Apne Blog Ke Liye Account Kaise Banaye
Blog Post Ko 1 Minute Me Google Search Me Kaise Laye Killer Trick
Blog Post Ko 1 Minute Me Google Search Me Kaise Laye Killer Trick
4) Write Good Quality Content
Agar bhale se aapke site ka name Unique nahi hai to aap apne site ko popular banake bhi sitlinks paa sakte hai.Google bhi pehle popular sites ko hi sitelinks deti hai.Har ek cheech aapki ranking,traffic,etc sab hi cheeje aapke Content par nirbhar karti hai.Google bhi unhe hi Sitelinks dena chahta hai jo apne visitors ko correct aur detailed post dete hai.To aap kab bhi koi post bina research kare ya puri jankari jane bigar mat likhna nahi to aapke visitors aapke site ko fake samjhenge aur google kab bhi kisi fake site ko kuch bhi server karna nahi chahata chahe wo sitelink ho ya Adsense ho.
Website Ko Search Engine Me First Lane Ke Liye Top 10 On page SEO Techniques
5) Clear Navigation
Clear Navigation se mera matlab hai ki aapke site me Navigation karna aasan hona chahiye.Jaise aapke site me menus,numbered navigation,pages link ye saar cheeje sahi se aur proper lagi honi chahiye.Maine bahut si site dekhi hai jinke Menu edit nahi hote hai aur unka Numbered Navigation sahi se kaam bhi nahi karta.To aap koi accha template h use karna.Aapke site me navigation karna bahut aasan hona chahiye user ko samaj me aana chahiye.
Google Sitelinks hamare site ko isiliye deta hai taki hamare site me navigation aur improve ho sake.Google Sitelinks me Important pages ko hi dalta hai jaise About Us,Contact Us, Privacy Policy,etc.To google ye important pages isliye sitelink me use karta hai taki users uspe aasani se jaa sake.To aap ye saare pages ko ek hi jagah rakhna.
To ye kuch 5 points the jisse aap bhi apne website ke liye sitelinks paa sakte hai.To ab aap bhi in paacho cheejo ka dhyan rakhe.To agar aapko ye post accha laga to isse share karna na bhule.
Hamara Pichla Post Padhna Na Bhule
Google Custom Search Engine Apne Blog Me Kaise Lagaye
No comments:
Write comments