Apne SmartPhone Hang Hone Se Bachaen,
➡
1> Phone Ke Default Apps
Ko Disable Kar De.
Aapke Phon me
Company ke Taraf se
Kuch bekar K Apps ya
Games default Diye Gye
Honge Agar Aap un Apps ya games ka use nhi
karte hai to unhe
uninstall karne ki Koshis
kare bt agar wo
uninstall nhi hote hai to
aap unhe disable kar de.
koi v app disable karne k
liye aap pahle settings
me jaye Phir apps me
click kare ab jis app ko
disable karna hai us pe
click kare ab aapko
disable ka option
dikhega usme click
karke OK kar de. ab wo
app disable ho chuka hai. Isi Tarah aap jin jin app
ko use nhi karte hai use
Disable kar de.
➡2. bekar ke apps or
games ko uninstall kar
de
maine kafi logo ko
dekha hai ki wo apne
phon me dher sare apps
or games rakh lete hai.
jis se unka phon hang
karne lagta hai. phon ko
achhi tarah se run karne
k liye kafi ram ki Zarurat
hoti hai bt agar aap
faltu ke apps ya games
rkhenge to wo aapke
phon ke ram ko kam kr
denge jis se aapke phon
ki speed Bhi kam ho
jayegi to aap jin jin
games ya apps ko kam
use karte hai unhe
uninstall kar de.
➡3. ek good antivirus
bahut Zaruri hai.
phon ke hang hone ya
slow hone me virus bhi
ek bada reasan ho
sakta hai. kabhi kabhi to
ye virus aapke phone ko
slow to karte Hi hai
sath Hi sath aapke phon
ke data ya sd card ke
data ko kharab kar dete
hai. Jo k bahut
mushkil se recover ho
pate hai ya nhi Bhi hote
hai. to ab aapko samjh
AA Hi gya hoga ki aapko
apne phon me ek
antivirus app kyu
rakhna chahiye. ye kuch
achhe antivirus ka link
mai aapko de RHA hu.
#cm security
#avast mobile security
#avg
➡4. phon me live
wallpaper or widgets
nhi rakhe.
live wallpaper dikhne me
to accha lagta bat ye
Bhi ek wajah ban sakti
hai aapke phon ko slow
karne me. isliye koi
normally wallpaper Hi
set kare. or widgets Bhi
nhi rakhne chahiye phon
me.
➡5. ram ko regularly clean kare kafi sare smartphones
me ram bahut Hi kam
bachta hai kyuki aap ek
time me kafi sare apps
khol ke rakh dete hai. to
aap jab Bhi koi app ko
use kar lete hai to use
recent apps me Jake
band karna na bhule. or
rahi bat ram ko clean
karne ki to aapko
playstore me ram
cleaner ya ram booster
search karne se kafi
sare apps mil jayenge.
in my case mai clean
master app use karta
hu. ye app bahut Hi
behtar hai ram or junk
files clean karne ke liye.
➡6. app cache ko regularly
clear kare.
aap jab Bhi koi app use
karte hai to wo app
apne program files ko
cache ke roop me
rakhta hai. Jo hamare
kisi Bhi kam ka nhi hota
hai. agar in cache files
ko regularly clean nhi
karenge to ye hamare
phon ki memory ko
khatam karne lagega.
isliye use clean karna
bahut Zar0ri ho jata hai.
phon ke cache files ko
delete kaise kare.
phon k settings me jaye
fir application manager
ya apps pe jaye. uske
bad koi bhi app me click
kare or clear cache me
click kare. jaise niche
screenshot me dikhaya
hua hai. aap isi tarah
baki ke apps pe Bhi click
karke unka cache
regularly clear krte rahe.
➡Aaj ka post kafi lamba
tha. Ummid karta hu
aap bore nhi huye honge
or mere bataye gye tips
se aapka phon pahle se
behtar kam kr rha hoga.
Agar aapko mujhse
kuch puchna hai to puch
sakte hai comment k
zariye. Or agar aapko
lagta hai ki isme kuch or
tips jorne chahiye to
mujhe comment me wo
tips zarur bataiyega.
➡ #ShareKrnaNaBholen
Friday, 27 May 2016
apne android phone ko Hang hone se kaise bachaen
Sign up email newsletter to receive email updates in your email inbox!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Write comments